Stock Item Kya Hai? Tally Me Stock Items Ko Kaise Banaye?

Aaj Ke Badalte Hue Time Me Kya Aap Manually Stock Items Ko Ek Book Me Note Karke Rakhte Hai, Ya Phir Time Ke Sath Aapne Bhi (Tally ERP 9) Software Ka Use Karna Suru Kar Diya Hai. Manually Stock Items Ko Hum Pahle Ek Register Me Stock Items Ki Details Ko Note Karke Rakha Karte The, Magar (Tally ERP 9) Software Ke Aane Ke Baad Stock Items Ko Maintain Karna Kafi Aasan Ho Gaya Hai. Aaj Mai Aapko Batauga Ki Tally Me Stock Items Kya Hai. Tally Me Stock Items  Kaise Banaye? stock item creation in Tally

Stock Item Ka (Tally ERP 9) Me Kya Use Hai.Hamare Business Me Stock Item Ki Kya Importance Hoti Hai. Tally Me (Single And Multi Stock Items) Kya Hai Aur Inko Kaise Create Karte Hai. Jaisa Ki Hum Jante Hai Ki Tally Me Stock Group Create Karne Ke Baad Stock Items Ko Hum Create Karte Hai. Aaj Mai Aapke In Sabhi Sawale Ke Jawab Duga.

Stock Item Kya Hai?

Jin Bhi Chijo Ko Hum Apne Business Me Sale Ya Purchase Karte Hai Unko Hi Hum Stock Items Kahte Hai.Business Me Stock Item Ka Use Aksar  Len Den Me Kiya Jata Hai.

Tally Me Stock Items Ko Kaise Banaye?

Tally Me Stock Items Ko Banane Ke Liye Hamko Kuch STEPS Kom Follow Karna Padega.

STEP-1: Tally Me Stock Items Banane Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info Me Click Kare Phir  Stock Items Me Jake Click Kare Then Create Ke Option Par Click Kare.

process of stoc item create

STEP-2: Stock Item Me Name Ke Box Me Us Stock Item Ka Nam Likhege Jisko Hame Create Karna Hai. Example Hum Redmi Mobile Nam Ka Ek Stock Item Create Karte Hai.

Stock Item Create

STEP-3: Under Me Hum Us Stock Group Ko Select Karege, Jiske Under Me Redmi Mobile Aata Hai. Jaise Ki Hum Jante Hai Ki Redmi Mobile (Mobile) Nam Ke Stock Group Ke Under Aaega, To Hum Mobile Stock Group ko Under Option Me Select Karege.

Stock Item under

STEP-4: Units Sabse Pahle Jante Hai Unit Kya Hoti Hai Units Wo Hoti Hai Jiske Through Hum Kisi Bhi Chij Ke Napate Hai, Aur Har Vastu Ki Apni EK Alag Units Hoti Hai. Example-( Milk Ki Unit Hogi Liter Etc ), To Units Me Hum Ek Unit, Create Kar Lege, Ki Redmi Mobile Ko Kis Unit Me Sale Out Karna Hai. Maine Yaha Pieces (PCS) Name Ki Unit Create Ki Hui Hai.

Stock Item Unit

STEP-5: Opening Balance Agar Us Item Ka Koi Opening Balance Hoga To Uski Jo Bhi  Quantity,Rate(per) Aur Value Jo Bhi Hoga Us Ko Hum Dal Dege.

Stock Item quantity And Rate

Stock Items Ko Dakhna, Alter Karna Aur Delete Karna:

Stock Items ko Dakhne Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info me jake Stock Items Me Display Option Par Click Karege, To Aapne Jo Jo Bhi Stock Items ko Create Kiya hai wo Sabhi Stock Items Aapko Dikhai Dege.

Stock Items Ko Alter Karna:-

Stock Items ko Edit Karne Ke Liye Aapko Alter Option Me jake , Click Karna Hai .Waha par List Of stock Items Me Aapko Wo Items Ko select karna Hoga Jisko Alter Karna Hai To wo Item Open Ho Jaegi. Ab Aap Stock Items Ki Sari Details Ko Edit Kar Sakte Hai.

Stock Items Ko Delete Karna:-

Stock Items Ko Delete Karne Ke Liye Bhi Hamko Alter Option Me Jake, List me Jo Stock Item Ko Delete Karna Hai ,Usko select Karege Aur (Alt+D) Keyboard Se Press karege Wo Stock Item Delete Ho Jaegi.

Single Stock Items Kya Hain?

Tally Me Jab Ek Time Me, Ek Hi Stock Items Ko Hum Create Karte Hai To Usko Single Stock Items  Kahte Hai (As Like- Redmi Mobile Ko Create Karna)

Stock Item Single

Multi-Stock Items Kya Hain?

Multi-Stock Items Banane Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info Me Jake Stock Items Par Click Karege. Fir Multi Stock Item Me CREATE Par Click Karege, Uske Baad Ek Page Open Hoga Jisme Under Group Ke Option Me All Items Ko Select Karege. Uske Baad Name Of Item Me Wo Us Item Ka Nam Likhege Jisko Aapko Create Karna Hai. Under Ke Option Me Jo Stock Group Humne Create Kiya Hai Usko Select Karege, Fir Units Ke Option Me Hum Us Unit Select Karege, Jo Ki Us Stock item Ki Unit Hogi And Opening Quantity Agar Us Stock Item Ki Hogi, To Rate And Amount Ko Fill Karke Stock Item Ko Save Kar lege.

 Example Yaha Maine Kai Sare Multi Stock Items Ko Create Kiya Hai.

multiple Stock item create

Stock Category Kya Hai?

Stock Category Means Hamare Stock Ko Alag-2 Category Me Divide Karna Jaise- Tv Hamara Ek Stock Group Hai Aur T.v Kai Inches Me Market Me Aata Hai. Like( 25 Inch,32 Inch,40 Inch Etc) Hum Isi Ko Category Kahte Hai.

Means Stock Items Ko Alag Alag Category Me Divide Kar Dena Jis Se Hamko Apne Stock Ki Puri Knowledge Ho Sake Ki Hamare Business Me Kaun Sa Stock Item Hai Aur Wo Stock Item Kis Category Me Available Hai.

Tally Me Stock Category Option Ko Active Kaise Kare?

First Step: Tally Me Stock Category Option Pahle Se Active Nahi Hota Hai. User Ko Apni Suvidha Ke Anusar Is Option Ko Active Karna Hota Hai. Stock Category Option Ko Active Karne Ke Liye Gateway Of Tally Me Features Option Me Jaye Ya Phir Keyboard Se (f11) Botton Ko Press Kare

Feature option tally

Next Step: Yaha Inventory Features Par Click Kare.

inventory Features

Next Step: Uske Baad Inventory Se Related Window Open Hogi, Yaha Par Storage And Classification Option Me Aapko Maintain Stock Category Option Dikhega.  Is Option Ko Yes Kar De Aur Isko Save Kar Le. Save Karne Ke Liye (Ctrl+A) Keyboard Se Press karege, Ab Aapka Stock Category option Active Ho Gaya Hai.

stock categegory Features

Tally Me Stock Category Banana?

STEP-1: Tally Me Stock Category Option Ko Active Karne Ke Baad Gateway Of Tally Me Inventory Info Me Jaye Aur Yaha Aapko Stock Category Ka Option Dikhai Dega, Yaha Click Kare Aur Create Option Me Jake Click Kare.

Process of stock category

STEP-2: Yaha Aapko Stock Category Creation Ki window Dikhai Degi. Isme Name Me Hum Wo stock Category Ko Nam Likhege, Jisko Hamko Create Karna Hai. Suppose Hamko (Tv) Jo Ki Hamara Stock Group Tha, To Hamko Tv Ke Lie Stock Category Ko, Create Karna Chahate Hai, To Hum (32 Inches Sony Tv ) Ki Stock Category Create Kar Lege.

stock category banana

STEP-3: Under Me Hum Primary Option Ko Hi Select Karege Aur Yes Karke Save Kar Lege. Hamari Stock Category Create Ho Gai Hai.

stock category primary

Stock Group, Stock Category And Stock Items List With Example:-

S.No

Stock Groups

Stock Categories

Stock Items

1

T.v

19 inches

Sony

2

T.v

21 inches

LG

3

T.v

32 inches

Videocon

4

Laptop

15.6 Screen

Lenovo

5

Laptop

18.6 screen

Acer

6

Laptop

23.5 screen

HP

7

Fridge

21 inches Long

Sony Fridge

8

Fridge

25 inches Long

Whirpool

9

Fridge

18 inches Short

Samsung

10

Washing Machine

32 inches Long

LG

11

Washing Machine

40 inches Long

Samsung

12

Washing Machine

23 Inches Short

Sony

13

Mobile

3 Gb Ram 32 Storage

Redmi

14

Mobile

2 GB Ram 16 Storage

Moto

15

Mobile

4 Gb Ram 64 Storage

Apple

 

Yaha Kuch Stock Items List Ko Maine Bataya Hai. I Hope Its Helpful for You.



No comments:

Post a Comment