Tally Me Bill Ki Entry kaise kare

Agar Aap Bhi Apne Business Ko Run Karte hai Aur Tally Me Bill Ki Entry Karna Chahate Hai To Aaj Ki Ye Post Aapke Liye Kafi Important Hai. Aksar Tally Me Sale Aur Purchase Bill Ki Entry Karne Me Hamko Bahut Problem Aati Hai Toh Aaj Ki Is Post Me Mai Aapko Ye Batauga Ki Computer Me Kis Tarah Se Bill Banaye Aur Bill Ki Entry Kaise Kare.Aaj Ke Is Article Me Hum Janege Ki Tally me entry kaise kare?


Tally Me Bill Ki Entry Karne Ke 2 Types Hai.

  • Purchase Bill Ki Entry Karna

  • Sale Bill Ki Entry Karna.

Tally Me Purchase Bill Ki Entry Kaise Kare?

Tally Me Purchase Bill Ki Entry Karne Ke Liye Aapke Paas Kisi Party Ya Company Ka Purchase Means Aapne Us Party Se Jo Bhi Item Purchase Ki Hui Hai, Uska Bill Hona Required Hai Tabhi Aap Us Bill Ki Entry Tally Me Kar Payege…

Example Ke Liye Mai Yaha Ek Company Raj Enterprise Se Kuch Items Purchase Ki Hui Hai, Jiska Bill Kuch Is Tarah Hai. Aaiye Janate Hai Ki Tally Me Purchase Bill Ki Entry Kaise Kare?..

Purchase Bill Of Raj Enterprise

purchase bill

Tally Me Purchase Bill Ki Entry Karne Ke Liye Aapko Kuch Steps Ko Follow Karne Padege.

STEP:1- Sabse Pahle Tally ERP 9 Software Ko Open Kare.

STEP:2- Ab Tally Me Accounting Voucher Me Jaye Aur Simply Purchase Voucher Ko Open Kare. Purchase Voucher Ko Open Karne Ke Liye Keyboard Se F9 Key Press Kare.

STEP:3 Aapke Samane Purchase Voucher Open Ho Jaega, Ab Purchase Voucher Me Raj Enterprise Ke Bill Ki Sabhi Details Ko Kuch Is Tarah Se Enter Kare…

Purchse Bill Ki Entry Kuch Is Tarah Se Kare.

purchase voucher

  • Purchase No 1:- Yaha Purchase Number Automatic Show Hoga.

  • Date:- Aapne Jis Bhi Date Me Goods Ko Purchase Kiya Tha Wohi Date Ko Enter Kare.

  • Supplier Invoice Number:- Purchase Bill Me Aapko Supplier Ka Bill No Show Ho Raha Hoga, Us Bill No Ko Yaha Enter Kare.

  • Party A/c Name:- Yaha Aapne Jis Party/Company Se Goods Ko Purchase Kiya Hai, Us Party/Company Ka Ledger Create Kare.

Agar Aap Ledger Create Karna Nahi Janate Toh Is Article Ko Carefully Read Kare. 

  • Purchase Ledger:- Yaha Aap Purchase Account Ke Naam Se Ek Ledger Create Kare.

  • Name Of Item:- Yaha Aapko Us Item Ko Create Karna Padega Jisko Aapne Purchase Kiya Hua Hai, Humne Raj Enterprise Se Keyboard Purchase Ki Hui Hai Toh Hum Keyboard Naam Ki Item Ko Create Karege.

Agar Aapko Stock Items Create Karne Me Koi Problem Hai Toh Aap Is Article Ko Padh Kar Tally Me Stock Item Ko Aasani Se Create Kar Sakte Hai. 

Tax Ledger:- Ab Aapko GST Tax Calculation Ke Liye Tax Ke Ledgers Ko Create Karna Hoga, Jaisa Hum Janate Hai Ki Hum Local Goods Ko Purchase Kar Rahe Hai Toh CGST, SGST Ledgers Create karne Padege.

Jaise Hi Aap Tax Ledgers Create Karke Apply Karege, Then Instant Aapke Item Par Automatically Tax Calculate Ho Jaega.

  • Narration:- Aap Narration Me Apni Marji Ke According Entry Ko Yaad Rakhne Ke Liye Kuch Bhi Likh Sakte Hai.

Finally Sabhi Details Ko Fillup Karne Ke Baad Yes karke Entry ko Save kar Le, Is Tarah Se Aap Purchase Voucher Me Bill Ki Entry Aasani Se kar Sakte Hai.

Tally Me Sale Bill Ki Entry Kaise Kare?

Tally Me Sale Bill Ki Entry Karne Ke Liye Aapko Apne Customer Ki Details Jaise Uska Naam, GSTIN Number, Address Etc Jankari Hona Required Hai.

So Aaiye Ek Example Se Aapko Explain Karta Hu Suppose Meri Company Ka Naam DK Enterprise Hai Aur Mai Ek Party/Customer Nitesh Kumar Ko Kuch Items Sale Karna Chahata Hu Toh Aisi Condition Me Hum Kis Tarah Tally Me Sale Bill Ki Entry Kare Aaiye Woh Janate Hai

Sale Bill Of Nitesh Kumar.

sale bill

Tally Me Sale Bill Ki Entry Karne Ke Liye Aapko Kuch Steps Ko Follow Karne Padege.

STEP:1- Sabse Pahle Tally ERP 9 Software Ko Open Kare.

STEP:2- Ab Tally Me Accounting Voucher Me Jaye Aur Simply Sale Voucher Ko Open Kare. Sale Voucher Ko Open Karne Ke Liye Keyboard Se F8 Key Press Kare.

STEP:3 Aapke Samane Sale Voucher Open Ho Jaega, Ab Sale Voucher Me Party/Customers Ki Sabhi Details Ko Kuch Is Tarah Se Enter Kare…

Sale Bill Ki Entry Kuch Is Tarah Se Kare.

sale voucher

  • Sale No 1:- Yaha Sale Number Automatic Show Hoga Jaise 2 Aap Item Ko Sale Karege.

  • Date:- Aapne Jis Bhi Date Me Goods Ko Sale Kar Rahe Hai Usi Date Ko Enter Kare.

  • Reference Number:- Sale Bill Create Karte Time Aap Apni Marji Ke According Bill Ka Ek Unique Number Ko Generate Kar Sakte Hai, Aisa Hum Isliye Bhi Karte Hai Ki Hame Ye Pata Rahe Ye Bill Hamari Company Ka Hai.

  • Party A/c Name:- Yaha Aap Jis Party/Customers ko Goods Ko Sale Out Kar Rahe Hai, Us Party/Customers Ka Ledger Create Kare.

Agar Aap Ledger Create Karna Nahi Janate Toh Is Article Ko Carefully Read Kare. 

  • Sale Ledger:- Yaha Aapko Sale Account Ke Naam Se Ek Ledger Create Karna Hoga.

  • Name Of Item:- Yaha Aapko Us Item Ko Create Karna Padega Jisko Aap Sale Karna Chahate Hai. Yaha Humne Kai Items Ko Apne Customer Nitesh Kumar Ko Sale Kiya Hai Toh Hum Ek-2 Karke Un Sabhi Items Ko Create Karege.

Agar Aapko Stock Items Create Karne Me Koi Problem Hai Toh Aap Is Article Ko Padh Kar Tally Me Stock Item Ko Aasani Se Create Kar Sakte Hai. T

Tax Ledger:- Ab Aapko GST Tax Calculation Ke Liye Tax Ke Ledgers Ko Create Karna Hoga, Jaisa Hum Janate Hai Ki Hum Local Goods Ko Sale Kar Rahe Hai Toh CGST, SGST Ledgers Create karne Padege.

Jaise Hi Aap Tax Ledgers Create Karke Apply Karege, Then Instant Aapke Item Par Automatically Tax Calculate Ho Jaega.

  • Narration:- Aap Narration Me Apni Marji Ke According Entry Ko Yaad Rakhne Ke Liye Kuch Bhi Likh Sakte Hai.

Finally Sabhi Details Ko Fillup Karne Ke Baad Yes karke Entry ko Save kar Le, Is Tarah Se Aap Sale Voucher Me Bill Ki Entry Aasani Se kar Sakte Hai.



No comments:

Post a Comment